Be-karaan tanhaaiyun ka silsila reh jaayega

Be-karaan tanhaaiyun ka silsila reh jaayega

Terey merey darmiyaan bas ek khalaa reh jaayega

Aks beh jaayenge saarey dhoop ke sailaab mein

Aur koye paaniyoun mein jhaankta reh jaayega

Mujhko merey humsafar, aisa safar darpesh hai

Raasta kat bhi gaya tou faasila reh jaayega

Laug so jaayenge khaamushi ki chadar odh ker

Chaand sooney aanganoun mein jaagta reh jaayega